Kitni khoobsurti se waqt chehre ka makeup karta hai

Bachpan ke kit main se choti-choti aankhein nikalta hai

Aur unhe bade saleeke se fit karta hai

Gaal main hansi ke gubaare bhar deta hai

Aur aankhon main zidd ke aansu

Kitni khoobsurti se waqt chehre ka makeup karta hai

Jawaani ke brush se maarta hai mucchon ka pehla stroke

Aur shararti phoonsiyon se chehra lal kar deta hai

Baalon main style naam ki kanghi chala deta hai

Aur aankhon main sapno ki aag bharta hai

Kitni khoobsurti se waqt chehre ka makeup karta hai

Jeevan ke interval main menopause ka chota sa dabba nikalta hai

Aur mehnat kash raaton ke sundar dhabbe de jaata hai

Peshaani par pareshaani ke kuch mote strokes banata hai

Aur ek aankh main gham toh ek aankh main khushi rang deta hai….

Kitni khoobsurti se waqt chehre ka makeup karta hai….

Phir anth main khanste khanste nikalta hai budhape ki peti,

Jhuriyaan banane ka saaman nikalta hai

Adhoore sapno aur rishton se aankhein geeli karta hai

Phir jeevan ke saat rangon ko milakar

Safed rang banata hai

Aur usse dheere dheere chadaane lagta hai

Tabhi toh uski (waqt ki) dukaan bandh hote hi

Chehra ek anokhi shanti se bhar jaata hai

Kitni khoobsurti se waqt chehre ka makeup karta hai